Naat Lyrics
Madinay main yeh hotay hain,yahan par yeh nahin hotay
Diwaaney Barwee ki shab, nahin sotay, nahin sotay.
Khyaalon ka, safar in ko,Madinay ley ke jaata hain
Nabi ki yaad sey ghaafil, yeh ik pal bhi nahin hotay.
Madinay main yeh hotay hain,yaha par yeh nahin hotay
Diwaaney Barwee ki shab, nahin sotay, nahin sotay.
Yeh jin ke sadqey khaatayhain, unhee ke ghun yeh ghaatay hain
Kisi bhi ghar ke dar par, nahin jhooktay, nahin rotay.
Madinay main yeh hotay hain,yaha par yeh nahin hotay
Diwaaney Barwee ki shab, nahin sotay, nahin sotay.
Inhen Hasnain sey ulfat, haiunkay nana sey ulfat
Hain panjtan paak ke aashiq, kisi sey yeh nahin dartey.
Madinay main yeh hotay hain,yaha par yeh nahin hotay
Diwaaney Barwee ki shab, nahin sotay, nahin sotay.
Darud-e-paak partay hain salaamun ko yeh kartey hain
Yih rahmat paaey jaatey hain, teree tarha nahin khotay.
Madinay main yeh hotay hain,yaha par yeh nahin hotay
Diwaaney Barwee ki shab, nahin sotay, nahin sotay
Zarra deyko, to diwaanaypukaaray marhaba aqa
Yih un ke jashne aamad sey, kabhi ghaafil nahin hotay.
Madinay main yeh hotay hain,yaha par yeh nahin hotay
Diwaaney Barwee ki shab, nahin sotay, nahin sotay.
Diwano main, dawana Aabidi behi yih shayad
Jo kehta phir rahaa hai aaj ki shab hum nahin sotay.