Naat Lyrics
Madinay Bulana Humein Jaan-E-Aalam
Dar-E-Paak Ka Hum Nazara Kareingay
Waheen Per Jiyeingay Waheen Per Mareingay
Waheen Zindagi Bhar Guzara Kareingay
Madinay Bulana Humein Jaan-E-Aalam
Dar-E-Pak Ka Hum Nazara Kareingay
Who Jiski Chamak Se Chamakta Hai Aalm
Nigahon Ko Roshan Jou Karta Hai Peyhum
Muqaddar Se Miljaye Woh Sabz Gumbad
Tou Jee Bharke Uska Nazara Kareingay
Madinay Bulana Humein Jaan-E-Aalam
Dar-E-Pak Ka Hum Nazara Kareingay
Paregi Muwaja Pe Jis Dum Nigahein
Rawa Ashq Hongay Bhareingay Hum Aahein
Machaltay Bhilaktay Huay Aapko Hum
Dou Aalam Ke Daata Pukara Kareingay
Madinay Bulana Humein Jaan-E-Aalam
Dar-E-Pak Ka Hum Nazara Kareingay
Ajab Kaifiyat Uss Ghari Dil Ki Hogi
Jabeen Jab Dar-E-Yaar Per Apni Hogi
Dua Ye Kareingay Ke Thum Jayein Ghariyaan
Yehi Aakhri Buss Nazara Kareingay
Madinay Bulana Humein Jaan-E-Aalam
Dar-E-Pak Ka Hum Nazara Kareingay
Kabhi Jaake Dekheingay Jannat Ki Kiyari
Woh Mimber Jahan Aab-E-Kausar Hai Jaari
Woh Khutbaat-E-Aaqa Ka Pur Kaif Manzar
Tasawwur Mein Uska Nazara Kareingay
Madinay Bulana Humein Jaan-E-Aalam
Dar-E-Pak Ka Hum Nazara Kareingay
Dar-E-Pak Per Roz Jaya Kareingay
Sadat Ki Meraj Paya Kareingay
Yunh Imaan Har Roz Apna Musafir
Sanwaara Kareingay Nikhara Kareingay
Madinay Bulana Humein Jaan-E-Aalam
Dar-E-Pak Ka Hum Nazara Kareingay